November 21, 2015

core2due se core i5! Processor ka nam change kare. ...

Ham sab computer ka use ka karte hai. Computer ka dimag hota h processor. Processor hi hamare input kiye huye data ki processing karta h or uska output tayar karta hai. Aaj kai parkar ke computer processor aate h jo system ki speed or processing capacity nirdharit karte h. Aksar jab ham computer ki speed ki baat karte h ya ham dekhte hai ki aapka computer kitna mahanga hai, sabse pahle ye dekha jata hai ki usme processor konsa hai, or ye check karne ke liye ham ya hamare friends My Computer ki properties me jake Processor dekhte hai. Ab kesa rahega jab ham apne computer processor ka nam change kar sake! Maan lijiye hamare computer ka CPU core i3 hai or ham uska man change karke Core i7 kar de or hamare friends jab use dekhenge to?
Is post me aapko mai CPU ka nam change karna batauga jiske dwara aap apne processor ka nam apne manpasand kar sakte hai. Or My computer ki properties me bhi wo hi nam show hoga.
Nimn steps ko follow kijiye:-
1.“Window key” ko dabaye rakhe or “R” dabaye

2. Run box me “regedit” type karke enter kare


3. Ab yaha ek nayi window ‘Registry Editor’ khulega.

4. >> “HKEY_LOCAL_MACHINE” ko double click kare

5. >> “HARDWARE” ko double click kare.

6. >> “DESCRIPTION"

7. >>  “System”

8. >>  “CenteralProcessor”

9. >>  “0”

10. >>  “ProcessorNameString” ko select karke open Karen.

11. >>  ‘value data’ me processor ka naya nam enter karke ‘ok’ kare or registry editor ko band karde.

Ab aap My computer ki properties  me jakar check kar sakte hai waha processor ka wo nam show karega ho aapne diya hai.
Ab agar aapke computer ka processor chahe dualcore ho ya core2due dekhne me wo hoga jo aap chahoge.

Global Desktop par visit karne ke liye Thanx! Naye updates paene ke liye or computer se judi esi kai jankariya lene ke liye hamara Facebook page like jaroor kare. Or yeh jankari aapko kesi lagi yeh hame comment me jaroor bataye or agar aapko achi lage to apne friends ko jaroor bataye!

No comments:

Post a Comment

Write us.