October 23, 2015

account par password kese lagayen!

Pichli post me aapko alag alag user account create karna bataya tha. Is post me user account ke liye password set karne ki detail di ja rahi hai. User account ki security badhane ke liye user account ke password set kar sakte hai. Computer me user account par password lagana:-
Step 1. Start Button par click kare
Step 2. Control panel me jaye

Step 3. User Accounts ko select kare
Step 4. Yaha aapko wo account show hoga jo abhi logged on hai. Agar aap isi account ke password set karna chahte h to “Create a password for your account” ko select kare.
Note: Agar aapke account ke pahle se password lage h to yaha ‘change your password’ ka option hoga jisko select karke aap apne account ka password badal sakte. Iske baad ‘Remove Password ka option hota h jiske dwara ham apne account ke password hata sakte h.
Step 5. ‘Manage another account’ ko select kare
Step 6. Jis account par password lagane h use select kare
Step 7. Yaha par aapko ‘Change the account name’ (Account ka name chane karne ke liye) ke baad ‘Create a password’ option aata h jisko select karna hai.
Step 8. ‘New password’ box me apna password enter kare
Step 9. ‘confirm new password’ box me wahi password dubara enter kare
Step 10. Yaha par ek or box hota h jisme likha hota h ‘type a password hint’ likha hota h. Yaha aap wo ek tip/trick type kar sakte h jo aapka password bhul jane par usko yaad karne me help kare. I mean aapke password se related any sentence jo aapko apne password wapas yaad dila de. Jese agar aapka password “asdfghjkl” ho to hint me aap “zxcvbnm” rakh sakte h jise dekhte hi aapko aapne bhule hue password yaad aa jayenge. ( Yeh box khali bhi choda ja sakta h)
Step 11. ‘Create password’ par click kare.
Step 12. Aapka password set ho chuka. Ab aapka account bina password ke nai khola ja sakta h.
Aapko hamari yeh jankari kesi lagi ye hame comment ka dwara jaroor bataye aapke sujhav sadar aamantrit hai. Or ha hamar FaceBook page like karna na bhule.

No comments:

Post a Comment

Write us.