October 21, 2015

Computer me ek se adhik user account kese banate h...

Hello friends, aapko pata hoga ki computer me ham alag alag kai account bana sakte h. Jese kisi computer par ek se jyada person kam karte h ya operate karte h to unki kuch files esi hoti h jo koi dusra acces nai kar sakta and agar wo chahe ki mera ek alag account ho jisme kewal me hi kam kar saku or use me hi open kar saku. Iske liye ham computer me ek se adhik account creat kar sakte h tatha us par anpe manpasand password laga sakte h jisase aapke account ki security badh jati h. 
Is post me aapko computer me ek se adhik account banana batauga…..
Iske liye aap nimn steps ko follow kare…..

1.Sabse pahle START button pr click kare
uske baad CONTROL PANEL me jaye
2. Controll pannel me aapko kafi icons dikhai denge jisme se aapko USER ACCOUNTS ko select karna h
3. Yaha par aapko aapke PC par bane saare accountc show honge
Yaha MANAGE ANOTHER ACCOUNT par click kare
4. Fir aapko esa dialogbox dikhai dega usme CREAT A NEW ACCOUNT pr click kare

5.‘New account name’  box me name likhe jo aap apne account ka rakhana chahte h
Note: Agar aap ek esa account banana chahte h jisme apne account tak  access limited ho ho to Standerd User ko select kare or agar aap ek esa account banana chahte h jisme full access ho to Administrator par click kare
6. Fir creat Account par click kare.
7. Aapka account bankar taiyar ho gaya h ab aap jab PC ko on karoge to waha par show karega.

Friends agar aapko kuch puchna h to aap comment me puch sakte h. 

No comments:

Post a Comment

Write us.