October 21, 2015

Global Desktop ke bare me details

Namaskar doston,
Mera nam Bhanwar Lal h. Me aaj aapko GLOBAL DESKTOP ke bar me batane ja raha hu jaha aap computer se sambandhit sari jankari search kar sakte h. Yeh mera blog h or me isme aapko computer se judi sari jankari provide karuga. Jesa ki ham jante h aaj adhiktar log computer ka use karte h or agar dekha jaye to computer aaj ki dainik jarurato me aane lag gaya h. Computer kewal offices tak hi seemit nahi rahkar har aadmi ki jarurat me badal gaya h. Dosto ham jante h ki ham sabhi log computer ka use karte h lekin isme hone wali choti choti problems ke bare me bhot kam jante h. Computer me esi problem bhot hi kam bar hoti h jab hame kisi machenic ki jarurat padti h. Normaly hone wali problems ko ham khud ghar par hi solve kar sakte h lekin iske liye computer ke bare me gyan hona jaruri h, usse sambandhit normal jankari hona ati aawasyak h. Agar aapko iske bare me kuch jyada chaiye to me aapki help karne ke liye hamesh taiyar hu. Aap meta blog http://www.globaldesktop.blogspot.com visit kare. Yaha aapko wo jankari jarur milegi jiski aapko jarurat h.
Doston is blog par aapko na kewal aapke aapki problems ka solution milega balki aapke har sawal ka harshambhav jwab bhi diya jayega or yaha par aapko computer and network ke bare me rochak jankariya bhi milegi.
Is blog par aapko bhot sari jankari provide ki jayegi fir bhi me kuch topics ko yaha explain karna chauga:-

1. Computer hardware se sambandhit sari jankariya
2. Windows me hone wali normal problems or unka solutions
3. System ko costmize karne ke liye tips.
4. System ko speed up karne ke tips
5. System ko virusfree karne ke liye amazing facts.
6. Network se sambandhit jankari
7. Peer to peer networking
8. Server to peer networking
9. LAN, Wireless network etc.
10. Modem.
11. Or computer se related bhot sari rochak jankari.
So doston ab problem nai solutions ayenge and agar aapko is field me kisi bhi prakar ki jankari chaiye to aap mere blog ko visit kare or ha Global Desktop ka FB page jarur like kare aap mujse contat me ke jariye ya commets ke dwara bhi jud sakte h. Jese jese hamara blog run karega me aapko or bhi behatar dene ki koshis karuga. Agar aap kuch puchna chaye to aap comment me puch sakte h aapke swaal ka harshambhav jwab diya jayega and mujhe ye karke khusi hogi and agar aapko lage ki usme kuch sudhar bhi hona chaiye to aapke suggestions ka hardik swagat h.
Dhanyawad!

1 comment:

Write us.